Ae naye Saal (hymn for a new year) by Faiz Ahmed Faiz
Ae naye saal bataa tujh mein nayaa kya hai?
Har taraf khalq me shor machaa kya hai?
Roshni din ki wohi,Taaron bhari raat wohi,
Aaj tumko nazar aati hai har baat wohi
Aasmaan badla hai na badli hai afsurdaa zameen
Ek hindse ka badalnaa koi jiddat to nahi
Pichle barson ki trarah honge qareene tere
Kise maloom nahin 12 mahine tere
Besabab dete hain kyon log mubaarakbaadein?
Sab kya bhool gaye waqt ki kadwi yaadein?
Tu nayaa hai to dikhaa subah nayi, shaam nayi
Warna in aankhon ne dekhe hai naye saal kahin...
- Faiz Ahmed Faiz