Yeh woh sehar to nahin by Faiz Ahmed Faiz
Yeh daagh daagh ujaalaa, yeh shab gazidaa seher
Woh intezaar tha jiska, yeh woh seher to nahin
Yeh woh seher to nahin, jis ki aarzoo lekar
Chale the yaar ki mil jaayegi kahin na kahin
Falak ke dasht mein taaron ki aakhri manzil
Kahin to hogaa shab-e-sust mauj ka saahil
Kahin to jaa ke rukegaa safinaa-e-gham-e-dil
Jawaan lahu ki pur-asraar shahraahon se
Chale jo yaar to daaman pe kitne haath pade
Dayaar-e-husn ki besabr kwaabgaahon se
Pukaarti rahi baahein, badan bulaate rahe
Bahut aziz thi lekin rukh-e-seher ki lagan
Bahut qareen tha haseenaa-e-noor ka daaman
Subuk subuk thi tamanna, dabi dabi thi thakan
Suna hai, ho bhi chukaa hai firaaq-e-zulmat-o-noor
Suna hai, ho bhi chukaa hai wisaal-e-manzil-o-gaam
Badal chukaa hai bahut ehl-e-dard ka dastoor
Nishaat-e-wasl halaal, o azaab-e-hijr haraam
Jigar ki aag, nazar ki umang, dil ki jalan
Kisi pe chaaraa-e-hijraan ka kuch asar hi nahin
Kahaan se aayi nigaar-e-sabaa, kidhar ko gayi
Abhi charaag-e-sar-e-raah ko kuch khabar hi nahin
Abhi garaani-e-shab mein kami nahin aayi
Najaat-e-deedaa-o-dil ki ghadi nahin aayi
Chale chalo ki woh manzil abhi nahin aayi