Mat puchh ke kya haal hai

You all may have heard about this famous lines
" मत पुछ के क्या हाल है मेरा तेरे आगे
  तु देख के क्या रंग है तेरा मेरे आगे।"

This excerpt is from the famous ghazal Bazicha e utfal by Mirza ghalib that I am going to write here today.

1. Bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aage
  hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage.


2. ik khel hai aurañg-e-sulemāñ mere nazdīk
    ik baat hai ejāz-e-masīhā mire aage


3. juz naam nahīñ sūrat-e-ālam mujhe manzūr
juz vahm nahīñ hasti-e-ashiyā mire aage


4. hotā hai nihāñ gard meñ sahrā mire hote
ghistā hai jabīñ ḳhaak pe dariyā mire aage


5.mat pūchh ki kyā haal hai merā tire pīchhe
tū dekh ki kyā rañg hai terā mire aage


6. sach kahte ho  ḳhud-bīn o ḳhud-ārā huuñ  nakyuuñ  huuñ
   baithā hai but-e-āyina-sīmā mire aage


7. phir dekhiye andāz-e-gul-afshānī-e-guftār
    rakh de koī paimāna-e-sahbā mire aage


8. nafrat kā gumāñ guzre hai maiñ rashk se guzrā
   kyūñkar kahūñ lo naam na un kā mire aage


9. Imāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufr
kaaba mire pīchhe hai kalīsā mire aage


10. Āshiq huuñ pa māshūq-farebī hai mirā kaam
majnūñ ko burā kahtī hai lailā mere aage


11. ḳhush hote haiñ par vasl meñ yuuñ mar nahīñ jaate
      aayī shab-e-hijrāñ kī tamannā mire aage


12. Hai maujzan ik qulzum-e-ḳhūñ kaash yahī ho
       aatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage


13. Go haath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hai
      rahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage


14. Ham-pesha o ham-mashrab o hamrāz hai merā
     'Ğhālib' ko burā kyuuñ kaho achchhā mire aage.

- Mirza Ghalib

Comments

Popular Posts