Aah ko chahiye

Aah ko chahiye ik umar asar hote tak,
Kaun jeeta hai teri zulf ke sar hote tak,

Dam-e-har- mauj main hai halqa-e-sad- kam-e-nahang,
Dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak,

Ashiqi sabar-talab aur tamanna betab,
Dil ka kya rang karoon khoon-e- jigar hote tak,

Hum ne mana ke taghaful na karo ge lekin,
Khaak ho jayen ge hum tum ko khabar hote tak,

Yak nazar besh nahin fursat-e- hasti ghafil,
Garmi-e- bazm hai aik raqs-e- sharar hote tak,

Gham-e- hasti ka asad kis se ho juz marg ilaj,
Shama har rang main jalti hai sehar hote tak.

By Mirza Ghalib

Comments

Popular Posts