Ab ke hum bichhde by Ahmed Faraz

Ab ke hum bichhde to kabhi khwabo mein milege,
Jis tarah sukhe huye phul kitabo mein milege.

Dhund ujade huye Chaman me vafaa ke moti,
Yeh khazane tujhe shayad kharabo me milege.

Gham e duniya bhi gham e yaar me shamil kar lo,
Nasha badhta hai sharab jab sharabon me milenge.

Na tu khuda hai aur na mera ishq farishton jesa,
Dono insan hai to kyun kar hijabon mein milenge.

Ab na woh main hu na tu hai na maazi hai 'faraz'
Jaise do saaye tamanna ke sarabon me milenge.

- Ahmed Faraz.

Comments

Post a Comment

Popular Posts