Jab ishq sikhata hai By Allama Iqbal

1. Jab Ishq Sikhata Hai Adaab-e-Khud 'Agaahi
Khulte Hain Ghulamon Par Asrar-e-Shehanshaahi
-When Love teaches man the respect of Self-Awareness
Though being a slave, he experiences the Kingly deeds

2. Attar Ho, Rumi Ho, Razi Ho, Ghazzali Ho
Kuch Hath Nahin Ata Be Aah-e-Sahargaahi
-Be it Attar or Rumi or Razi or Gazali
Nothing comes in hand without the "night prayers"

3. Naumeed Na Ho In Se Aey Rahbar-e-Farzaana
Kamkosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi
-O leader of intelligent, don't you despair of their worth
Though they are sluggish, your followers are loyal to you.

4.Aey Taa'ir-e-Lahooti! Uss Rizq Se Mout Achchi
Jis Rizq Se Aati Ho Parwaaz Mein Kotaahi
-O bird who flies to the Eternal world! It is better to starve to death
Than to live on a prey, that obstructs your flight.

5.Dara-o-Sikandar Se Woh Mard-e-Faqeer Aula
Ho Jis Ki Faqeeri Mein Boo-e-Asadullaahi
-Better than Darius and Alexander is that Fakir,
Whose piety has the attributes of 'The Tigerof God' (Ali)

6. Aa'een-e-Jawan Mardaan, Haq Goyi-o-Bebaki
Allah Ke Sheron Ko Aati Nahin Roobaahi
-The constitution of men are, Speaking the Truth and being Upright
The Lions of God know not the traits of cunning of Fox.

- By Allama Iqbal

Comments

Popular Posts