Sitaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain

1. Sitaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain
- Beyond the stars are even more worlds
There are still even more tests of love.

2. Tihi Zindagi Ke Nahin Yeh Fazaayein
Yahan Sainkadon Kaaravaan Aur Bhi Hain
-These loneliness are not for eternity
There are hundreds of other caravans too

3.Qanaa'at Nah Kar Aalam-e-Rang-o-Bu Par
Chaman Aur Bhi, Aashiyaan Aur Bhi Hain!
-Don't get contented with the world of color and scent
There are other gardens, other nests (resting places), too

4. Agar Kho Gaya Ek Nasheman Tho Kya Gham
Muqaamaat-e-Aah-o-Fughaan Aur Bhi Hain!
- If a nest (home) was lost, what's the [cause of] grief?
There are other places for sighing and lamenting

5.Tu Shaaheen Hai, Parvaaz Hai Kaam Tera
Tere Saamne Aasmaan Aur Bhi Hain
-You are a falcon, your task is to fly
Before you there are other skies as well to cover

6. Isi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Nah Rah Jaa
Kih Tere Zamaan-o-Makaan Aur Bhi Hain
-Don't remain entangled, in this day-and-night
For you have other times-and-places too

7.Gaye Din Ke Tanhaa Thaa Main Anjuman Mein
Yahaan Ab Mere Raaz-Daan Aur Bhi Hain!
-The days are gone when I was alone in the vibrance,
Here, now, I have other confidant also.

By Allama Iqbal

Comments

Post a Comment

Popular Posts