Shiddat e judayi
1. Is Qadar Musalsal Thee Shiddatain Judayi Ki
Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki
2.Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki
3.Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki
4. Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki?
5.Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraad Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki?
6.Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke
Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki?
7. Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad
Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki
8. Dukh Howa Jab Us Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Aib Thay Us Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki
By Ahmed Faraz

Comments
Post a Comment