shahr kī raat aur maiñ nāshād o nākārā phirūñ
jagmagātī jāgtī saḌkoñ pe āvārā phirūñ
ġhair kī bastī hai kab tak dar-ba-dar maarā phirūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
jhilmilāte qumqumoñ kī raah meñ zanjīr sī
raat ke hāthoñ meñ din kī mohnī tasvīr sī
mere siine par magar rakhī huī shamshīr sī
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
ye rupahlī chhāñv ye ākāsh par tāroñ kā jaal
jaise suufī kā tasavvur jaise āshiq kā ḳhayāl
aah lekin kaun jaane kaun samjhe jī kā haal
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
phir vo TuuTā ik sitāra phir vo chhūTī phul-jaḌī
jaane kis kī god meñ aa.ī ye motī kī laḌī
huuk sī siine meñ uTThī choT sī dil par paḌī
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
raat hañs hañs kar ye kahtī hai ki mai-ḳhāne meñ chal
phir kisī shahnāz-e-lāla-ruḳh ke kāshāne meñ chal
ye nahīñ mumkin to phir ai dost vīrāne meñ chal
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
har taraf bikhrī huī rañgīniyāñ ra.anā.iyāñ
har qadam par ishrateñ letī huī añgḌā.iyāñ
baḌh rahī haiñ god phailā.e hue rusvā.iyāñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
rāste meñ ruk ke dam le luuñ mirī aadat nahīñ
lauT kar vāpas chalā jā.ūñ mirī fitrat nahīñ
aur koī ham-navā mil jaa.e ye qismat nahīñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
muntazir hai ek tūfān-e-balā mere liye
ab bhī jaane kitne darvāze haiñ vā mere liye
par musībat hai mirā ahd-e-vafā mere liye
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
jī meñ aatā hai ki ab ahd-e-vafā bhī toḌ duuñ
un ko pā saktā huuñ maiñ ye aasrā bhī toḌ duuñ
haañ munāsib hai ye zanjīr-e-havā bhī toḌ duuñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
ik mahal kī aaḌ se niklā vo piilā māhtāb
jaise mullā kā amāma jaise baniye kī kitāb
jaise muflis kī javānī jaise beva kā shabāb
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
dil meñ ik sho.ala bhaḌak uTThā hai āḳhir kyā karūñ
merā paimāna chhalak uTThā hai āḳhir kyā karūñ
zaḳhm siine kā mahak uTThā hai āḳhir kyā karūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
jī meñ aatā hai ye murda chāñd taare noch luuñ
is kināre noch luuñ aur us kināre noch luuñ
ek do kā zikr kyā saare ke saare noch luuñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
muflisī aur ye mazāhir haiñ nazar ke sāmne
saikḌoñ sultān-e-jābir haiñ nazar ke sāmne
saikḌoñ chañgez o nādir haiñ nazar ke sāmne
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
le ke ik chañgez ke hāthoñ se ḳhanjar toḌ duuñ
taaj par us ke damaktā hai jo patthar toḌ duuñ
koī toḌe yā na toḌe maiñ hī baḌh kar toḌ duuñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
baḌh ke us indar sabhā kā saaz o sāmāñ phūñk duuñ
us kā gulshan phūñk duuñ us kā shabistāñ phūñk duuñ
taḳht-e-sultāñ kyā maiñ saarā qasr-e-sultāñ phūñk duuñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūn
By asrar ul haq majaz
Comments
Post a Comment