Bargah e Mard

na taḳht-o-tāj mein na lashkar-o-sipah mein hai
jo baat mard-e-qalandar ki bargah meñ hai

sanam-kada hai jahan aur mard-e-haq hai ḳhalīl
ye nukta vo hai ki poshida la-ilah mein hai

vahi jahan hai tira jis ko tu kare paida
ye sang-o-ḳhisht nahi jo tirī nigāh meñ hai

mah o sitāra se aage maqām hai jiskā
vo musht-e-ḳhāk abhi āvārgān-e-rāh meñ hai

ḳhabar milī hai ḳhudāyān-e-bahr-o-bar se mujhe
farañg rahguzar-e-sail-e-be-panāh meñ hai

talāsh uskī fazāoñ meñ kar
nasīb apnā jahān-e-tāza
mirīāh-e-subah-gāh meñ hai

mire kadūko ġhanīmat samajh ki
bāda-e-nābna madrase meñ hai
baaqī na ḳhānqāh meñ hai

By Allama Iqbal

Comments

Popular Posts