Beqarari si Beqarari hai

Be-qarārī sī be-qarārī hai
vasl hai aur firāq taarī hai

jo guzārī na jā sakī hamse
hamne vo zindagī guzārī hai

naghare kyā hue ki logoñ par
apnā saaya bhī abto bhārī hai

bin tumhāre kabhī nahīñ aayi
kyā mirī niiñd bhī tumhārī hai

aap meñ kaise aau uñ maiñ tujh bin
saañs jo chal rahī hai aarī hai

usse kahiyo ki dil kī galiyoñ
meñ raat din terī intizārī hai

hijr ho yā visāl ho kuchh ho
ham haiñ aur uskī yādgārī hai

ik mahak samt-e-dil se aayi thī
maiñ ye samjhā tirī savārī hai

hādsoñ kā hisāb hai apnā
varna haraan sabkī baari hai

ḳhush rahe tū ki zindagī apnī
umr bhar kī umīd-vārī hai

By Saifullah.vguj

Comments

Popular Posts