Ilzaam e chah by Faiz Ahmed Faiz

Hum par tumhari chaah ka ilzaam hi to hai,
Dushnaam to nahin hai yeh ikraam hi to hai,

Karte hain jis pe taan koi jurm to nahin,
Shauq-e-fazoolo ulfat-e-nakaam hi to hai,

Dil muddayi ke harf-e-malamat se shaad hai,
Ae jan-e-jan yeh harf tera naam hi to hai,

Dil naa Umeed to nahin nakaam hi to hai,
Lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai,

Dast-e-falak main gardish-e-taqdeer to nahin,
Dast-e-falak main gardish-e-ayaam hi to hai,

Akhir to ek roz karegi nazar wafa,Woh
Yar-e-khush khisal sar-e-baam hi to hai,

Bheegi hai raat 'faiz' ghazal ibtidaa karo,
Waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai...

Faiz Ahmed 'Faiz'

Comments

Popular Posts