Mann karta hai
Uski Jhuki ankho ko dekhne ka man karta hai,
har baar khyalo mein jhumne ka mann karta hai,
Woh Nahi humari jeendagi main magar,
Har baar usse dhundhne ka mann karta hai.
Yaado ke galiyare mein guzarte Waqt,
Apni raah me kabhi kabhi chalte waqt,
Ghar se manzil ke liye nikalte waqt,
Har lamha Usse yaad karne ka mann karta hai.
Mehfil me tanhayi si kabhi lagti hai,
Khamoshi me shehnayi si kabhi lagti hai,
Raat ke andhere me kehkasha si lagti hai,
Mere Uss Sanam ko chumne ka mann karta hai.
Ajnabiyat si chhayi hai mere sheher main abhi,
Kamnasibi si hai mere khushnasibi main abhi,
Bekaari si hai meri kamdari mein kabhi,
Aesi Jeendagi ko chhodne ka mann karta hai.
Khalid tu bhi kabhi apna sanam chhodke dekh,
Kya tujhe kabhi apna haalat badalne ka mann nahi karta hai?
By myself

Comments
Post a Comment