Toote huye armaan

Phir tute huye armaan nikal aaye kaise,
Gham jo badh jaaye toh woh jaaye kaise

Hume maloom hai yeh qisse chahat ke
Yeh ab jehen se utare to utar jaaye kaise.

Lamhe jo guzaare the tere sang humne,
Un gustakh lamho ko bhulaye kaise.

Tujhe dekh jo hoti hai israar e khushi,
Iss parwah dari ko chhupaye kaise.

Yaad hum ko guzre zamaane saare,
Un zamano me hum laut jaye kaise.

Ae Dar-e-muhabbat kabhi to laut,
'Khalid' apna dar ab basaaye kaise.

By Saifullah khan 'Khalid'
(saifullah.vguj)

Comments

Popular Posts