Yeh Ishq nahi By myself
Yeh ishq nahi wada e rusvai hai,
Kyukar khuda ne ye marz banayi hai,
Alamat e Jindagi haalat e gham se behtar
Kya bala jissne meri jaan khayi hai.
Barbaad e mohabbat se barbaad e duniya behtar,
Jisse maut bhi na bacha saki ye woh aafate tamashayi hai,
Yeh hai aesi paband tabahi ki,
Tabahi ne bhi isse jaan chhudai hai.
Halat e duniya ka hai yeh aur ek manzar,
Aashiqo ne hi duniya mai thokar khayi hai.
Yeh Dara o Rustom Yeh Kaisar o sikandar
Har kisi pe issne Aafat machayi hai.
Ujad gaye kayi kitne nasheman,
Aur kitno ki ab tabahi hai.
- By Khan Saifullahkhalid.
(Saifullah.vguj)