Zamaana

Yaad hai mujhko woh zamaana
Pyar aur madhoshi ka fasaana
Haqiqat nahi ban paaya jo
Woh mera khwab suhaana.

Beparwahi ke woh aalam me
jeete the jab hum chaahat me
Zamaane ki jarurat thi kissko
Zindagi guazarti jab Aahat me.

Dosto ke saath gappe ladaana
Nukkad pe khade siti bajaana
Deen apne guzare jo lamho ki tarah
Unn deeno ko phir se yaad aana.

Khwahishe thi usski aashiqi jab
Usske har khushi pe khush hona
Ussi ki yaad me jaagna aur sona
Usski har baat ko phir se dohrana

Ab toh yun hai haalat apni
Lamhe hai sadiyo se apni
Kat te hai deen guzarte nahi
Kaash ke laut aaye woh zamaana.

By myself
( saifullah.vguj)

Comments

Popular Posts