Muhabbat

Na khyale zindagi na zamaana e gham hai yeh
Kuchh nahi dilfarebi ka mausam hai yeh.

Aarzoo wa muqaddar ka bas nahi jisspar,
Dhokha wa takleef ka samandar hai yeh.

Haalat ka maara ban jaye iss ka shiqar,
Bas aesi halqat e gham hai yeh.

Kya khabar hota hai yeh akhir,
Kyunkar sabki zaroorat hai yeh.

Na umar ki parwah na zaat ki fiqar,
Insaniyat ka kesa mazar hai yeh.

Bas ke khalid jaan chuka hoga tu naam isska,
kehte hai ishq isse par muhabbat hai yeh.

By saifullah.vguj

Comments

Popular Posts