Paon ka kanta

1. Na humsafar na kisi humnasheen se nikle ga,
Hamare paaon ka kanta humeen se nikle ga,

2. Main janta tha ke zehreela saanp ban kar,
Tera khuloos meri aasteen se nikle ga,

3. Isi gali main woh bhooka faqeer rehta tha,
   Talash keejiye khazana yahin se nikle ga,

4. Buzurg kehte thay ik waqt aye ga jis din,
    Jahan pe doobe ga suraj wahin se nikle ga,

5. Guzishta saal ke zakhmon haray-bharay rehna,
Juloos ab ke baras bhi yahin se nikle ga..
- By Anonymous

Comments

Post a Comment

Popular Posts