Ab khushi hai na koi

Ab khushi hai na koi dard rulaane wala,
Hum ne apnaa liya har rang zamaane wala,

Aik be- chehra si umeed hai chehra chehra,
Jis tarf dekhiye aane ko hai aane wala,

Us ko rukhsat kiya tha mujhe maloom na tha,
Sara ghar le geya ghar chorr ke jaane wala,

Duur ke chaand ko dhoondo na kisi aanchal main,
Yeh ujala nahin aangan main samaane wala,

Ik musafir ke safar jesi hai sab ki duniya,
Koi jaldi main, koi dair se jaane wala..

Comments

Popular Posts