Dost Bankar by Ahmed Faraz
Dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala
Wohi andaz hay zalim ka zamane wala,
Ab usay log samjhte hain giraftar mera,
Sakht naadim hay mujhe daam main lane wala,
Subah dam choRR geya nikhat-e-gull ki surat,
Raat ko guncha-e- dil may simatt aane wala,
Kya kahen kitne marasim they hamare us se,
Wo jo ik shakhss hai muh phair kay jaane wala,
Tere hote huye aa jati thi sari dunia,
Ajj tanha hoon to koi nahi aane wala,
Muntazir kiss ka hoon tooti hoi dehleez pe main,
Kon aye ga yahan, kon hai aane wala,
Kya khabar thi jo meri jaan may ghulla hay itna,
Hay wohi mujh ko sar-e-daar bhi laane wala,
Main ne dekha hay baharon may chaman ko jalte,
Hai koi khawb ki tabeer batane wala,
Tum takaluf ko bhi ikhlaas samjhte ho Faraz,
Dost hota nahi har hath milane wala..
By Ahmed Faraz

True for modern friends....
ReplyDelete