Junoon se by Shakeel Badayuni

1. Junoon se guzarne ko jee chahta hai,
Hansi zabt karne ko jee chahta hai,

2. Jahan ishq main doob kar reh gaye hain,
Wahin phir ubharne ko jee chahta hai,

3. Woh hum se khafaa hain hum un se khafaa hain,
Magar baat karne ko jee chahta hai,

4. Hai muddat se be-rang naqsh-e- mohabbat,
Koi rang bharne ko jee chahta hai,

5. Bayeen khud- sari woh ghuroor-e- mohabbat,
Unhen sajda karne ko jee chahta hai,

6. Qazaa muzhada-e- zindagi le ke aye,
Kuch is tarah marne ko jee chahta hai,

7. Nizaam-e- do– aalam ki ho khair ya rab,
Phir ik aaah karne ko jee chahta hai,

8. Gunah-e- mukarar shakeel Allah Allah,
BigaRR kar sanwarne ko jee chahta hai..

By Shakeel Badayuni

Comments

Popular Posts