Kuch to Tanhai by Akhtar sheerani

Kuch to tanhai ki raton main sahara hota,
Tum na hote na sahi zikr tumhara hota,

Tark-e- duniya ka yeh daava hai fazool hai,
Baar-e- hasti to zara sar se utara hota,

Woh agar aa na sake maut hi aayi hoti,
Hijr main koi to gham-khvar hamara hota,

Zindagi kitni massarat se guzarti ya rab,
Aish ki tarah agar gham bhi gavaara hota,

Azmat-e- girya ko kotah-nazzar kya samjhen,
Ashk agar ashk na hota to sitara hota,

Gham-e- ulfat jo na milta gham-e- hasti milta,
Kisi surat to zamane main guzara hota,

Kis ko fursat thi zamane ke sitam sehne ki,
Gar na us shokh ki ankhon ka ishara hota,

Koi hamdard zamane main na paya akhtar,
Dil ko hasrat hi rahi koi hamara hota.

By Akhtar Sheerani

Comments

Popular Posts