Parakhna Mat

Parakhna mat, parakhne se koi apna nahin rehta,
Kisi bhi aayine main dair tak chehra nahin rehta,

Barre logon se milne main hamesha fasle rakhna,
Jahan darya samandar se mila darya nahin rehta,

Hazaron sher mere so gaye kaghaz ki qabron main,
Ajab maan hoon koi bacha mera zinda nahin rehta,

Tumhara shehr to bilkul naye andaz wala hai,
Hamare shehr main bhi ab koi hum sa nahin rehta,

Mohabbat aik khushbuu hai hamesha sath chalti hai,
Koi insan tanhayi main bhi tanha nahin rehta,

Koi baadal harey mausam ka phir ailaan karta hai,
Khizaan ke bagh main jab aik bhi pataa nahin rehta.

Bashir Badra

Comments

Popular Posts