Roz kehna

Roz kehna ke ab nahin karna,
Roz phir rabta wahin karna,

Lakh yeh aqal aqal sikhlaye,
Is mohabbat ne kab yaqeen karna,

Saadgi dekhiye mohabat ki,
Ik dagha umar bhar makeen karna,

Door manzil se aur le jaye,
Usi rehbar ko hum-nasheen karna,

Aadaten khoob hain mohabbat ki,
Badshahon ko be-zameen karna,

Bas mohabbat yeh soch kar kijay,
Aap ko aur kuch nahin karna,

Shayari yuun kharab hai abrak,
Shab-e-hijran ko bhi haseen karna,

Apne likhe pe to amal karna,
Aesi ghalti na phir kahin karna..

Aftab abrak

Comments

Popular Posts