Sitamber ( September) month of Sorrow

1. Har sitam aik dum sitamber main,
Jamm se jate hain gham Sitamber main,

2. Mahino bhar is liye main roya hoon,
Dil bhare kam se kam sitamber main,

3. Yadain chutti manane ayi theen,
  Ghar se nikle na hum Sitamber main,

4. Har shajar pe khizaan ne gaRr diya,
    Aik ujRra alam sitamber main,

5. Barish ki Boondein hain palkon par,
Ah, yeh chashmm-e- num sitamber main,

6. Lambi raton ka faiz hai shayed,
Badh gaye gham Sitamber main,

7. Laila se badh ke maut achi lagi,
    rab ki qasam Sitamber main,

8. Kyun na yaad ho yeh mahina 'Khalid'
    Visal hai uska maah-e Sitamber main.

- By saifullah.vguj

Comments

Popular Posts