The real Ghazal of Dikhayi Diye yuun by Meer Taqi Meer

Faqiraana aaye sadaa kar chale,
Mian khush raho hum duaa kar chale,

Jo tujh bhi na jeene ko kehte they hum,
So us ehd ko ab wafaa kar chale,

Shifaa apni taqdeer hi mei na thi,
Ke maqduur tak to dawaa kar chale,

Parre aese asbaab paayaan-e-kaar,
Ke na-chaaar yun hi jalaa kar chale,

Woh kya cheez hai aah jiss ke liye,
Har aik cheez se dil uthaa kar chale,

Koii na-umeedana karte nigaah,
So tum hum se muun bhi chupa kar chale,

Bohat aarzuu thi gali ki teri,
So yaan se lahuu mei nahaa kr chale,
Dikhaayi diye yuun ke be-khud kiya,
Hamen aap se bhi judaa kar chale,

Jabeen sajdaa karte hi karti gayi,
Haq-e- bandagi hum adaa kar chale,

Parastish ki yaan tak ke aayi buut tujhe,
Nazar me sabhon ki khudaa kar chale,

Jhadde phuul jis rang gulbun se yuun,
Chaman mei jahaan ke hum aa kar chale,

Na dekha gham-e-dostaan shukr hia,
Hamiin daagh apna dikhaa kar chale,

Gayi umar dar– band-e-fikr-e-ghazal,
So is fun ko aisaa barra kar chale,

Kahen kya jo puuche koii hum se “mir”,
Jahan mei tum aaye they kya kar chale..

By Meer Taqi Meer

Comments

Post a Comment

Popular Posts