Majnoon ne shehar chhoda

Majnoon Ne Sheher Chhora Tu Sehra Bhi Chor De,
Nazare Ki Hawas Ho To Laila Bhi Chor De,

Waaiz! Kamal-e-Tark Se Milti Hai Yaan Murad,
Dunya Jo Chor Di Ha To Uqba Bhi Chor De,

Taqleed Ki Rawish Se To Behter Hai Khudkushi,
Rasta Bhi Dhoond, Khizr Ka Soda Bhi Chor De,

Manind-e-Khama Teri Zuban Par Hai Harf-e-Ghair,
Begana Shay Pe Nazish-e-Bay-Ja Bhi Chor De,

Lutf-e-Kalaam Kya Jo Na Ho Dil Mein Dard-e-Ishq,
Bismil Nahin Hai Tu To Tarapna Bhi Chor De,

Shabnam Ki Tarah Phoolon Pe Ro, Aur Chaman Se Chal,
Iss Bagh Mein Qayam Ka Soda Bhi Chor De,

Hai Ashiqui Mein Rasm Alag Sub Se Baithna,
Butkhana Bhi, Haram Bhi, Kaleesa Bhi Chor De,

Acha Hai Dil Ke Sath Rahe Paasban-e-Aqal,
Lekin Kabhi Kabhi Isse Tanha Bhi Chor De,

Jeena Woh Kya Jo Ho Nafas-e-Ghair Par Madar,
Shohrat Ki Zindagi Ka Bhrosa Bhi Chor De,

Shaukhi Si Hai Sawal-e-Mukarar? Mein Ae Kaleem!
Shart-e-Raza Ye Hai Ke Taqaza Bhi Chor De,

Waaiz Saboot Laye Jo Mai Ke Jawaz Mein,
Iqbal Ko Ye Zid Hai Peena Bhi Chor De,

By Allama Iqbal Saheb

Comments

Popular Posts