Ghazal (poem) on spain by Allama Iqbal

Haspania Tu Khoon-e-Musalman Ka Ameen Hai
Manind-e-Haram Pak Hai Tu Meri Nazar Mein

Poshida Teri Khak Mein Sajdon Ke Nishan Hain
Khamosh Azanain Hain Teri Baad-e-Sehar Mein

Roshan Thin Sitaron Ki Tarah In Ki Sananain
Khaime The Kabhi Jin Ke Tere Koh-o-Qamar Mein

Phir Tere Haseenon Ko Zaroorat Hai Hina Ki?
Baqi Hai Abhi Rang Mere Khoon-e-Jigar Mein !

Kyun Khs-o-Khashaak Se Dab Jaye Musalman
Mana, Woh Tab-e-Taab Nahin Iss Ke Sharar Mein

Garnata Bhi Dekha Meri Ankhon Ne Walekin
Taskeen-e-Musafir Na Safar Mein Na Hazr Mein

Dekha Bhi Dikhaya Bhi, Sunaya Bhi Suna Bhi
Hai Dil Ki Tasalli Na Nazar Mein, Na Khabar Mein!

-BY ALLAMA IQBAL

Comments

Popular Posts