Kuchh to Hawa bhi sard thi by parween Shakir

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayalbhi,
Dil ko khushi ke sath sath hota raha malaalbhi,

Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aese dekhta,
Ek dafah to ruk gayee gardish-e-maah-o-saalbhi,

Dil to chamak sake ga kya phir bhi tarash ke dekh lain,
Sheesha giraan-e-sheher ke haath ka yeh kamaal bhi,

Us ko na pa sake thay jab dil ka ajeeb haal tha,
Ab jo palatt ke dekhiye baat hi kuch muhaalthi,

Meri talab tha aik shaks woh jo nahin mila to phir,
Hath dua se yoon giray bhool gaya sawaal bhi,

Uss ki sukhnn taraaziyan mere liye bhi dhaal theen,
Us ki hansi main chupp geya apne ghamon ka haal bhi,

Shaam ki nasamajh hawaa puch rahi hai aik pata,
Mauj-e-hawaa-e- ku-e-yaar, kar kuch to mera khayal bhi..

By Parween Shakir

Comments

Popular Posts