Mard e Musalman by Allama Iqbal

Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!

Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot,
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman

Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki,
Hai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan

Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran

Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade,
Dunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan

Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam,
Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan

Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz,
Ahang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman

Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum
Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan!

By Allama Iqbal

Comments

Popular Posts