Chupke Chupke- A Complete Ghazal by hasrat Mohani

Chupke chupke raat din aansu bahana
yaad hai,
Hum ko ab tak aashiqi ka woh zamaana
yaad hai,

Ba-hazaran iztiraab o sad-hazaran ishtiyaq,
Tujh se woh pehle-pehal dil ka lagaana
yaad hai,

Baar baar uthna usi jaanib nigaah-e-shauq ka,
Aur tera ghurfe se woh aankhen larraana yaad hai,

Tujh se kuch milte hi woh bebaak ho jana mera,
Aur tera daanton main woh ungli dabaana yaad hai,

Kheench lena woh mera parde ka kona dafa-tan,
Aur dupatte se tera woh muu chupana
yaad hai,

Jab siva mere tumhara koi deewana na tha,
Sach kaho tum ko bhi woh kaar-khana
yaad hai,

Ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaaf,
Woh tera chori-chupe raaton ko aana
yaad hai,

Aa geya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq,
Woh tera ro ro ke mujh ko bi rulaana yaad hai,

Dopeher ki dhoop main mere bulaane ke liye,
Woh tera kothe pe nange paanv aana yaad hai,

Chori chori hum se tum aa kar mile they jis jagah,
Mudatten guzri pr ab tak woh thikaana
yaad hai....

- Hasrat Mohani

Comments

Popular Posts