Hum mehnetkash By Faiz Ahmed Faiz
Hum mehnatkash jagwaalon se jab apna hissa maangenge
Ik khet nahin ik desh nahin hum saari duniya maangenge
Yaan sagar sagar moti hain yaan parbat parbat heere hain
Yeh saaraa maal hamaara hai hum saara khazaana maangenge
Jo khoon bahaa jo baag ujde jo geet dilon mein qatl hue
Har qatre ka har ghunche ka har geet ka badla maangenge
So seth byopaari rajwaade dus laakh to hum das laakh karod
Yeh kitne din Amrika se jeene ka sahaara maangenge
Jab saf seedhi ho jaayegi jab sab jhagde mit jaayenge
Ham har ik desh ke jhande par ik laal sitaara maangenge
-Faiz Ahmed Faiz