Mar jaayenge Zaalim ki himayat na karenge by Faiz Ahmed Faiz

Mar jayenge zaalim ki himaayat na karenge
Ahraar kabhi tark-e-rivaayat na karenge

Kya kuch na mila hai jo kabhi tujh se milegaa
Ab tere na milne ki shikaayat na karenge

Shab beet gayi hai to guzar jaayega din bhi
Har lehzaa jo guzri woh hikaayat na karenge

Yeh fakr dil-e-zaar ka aewazaanaa bahut hai
Shaahi nahin mangenge vilaayat na karenge

Hum shaikh na leader na musaahib na sahaafi
Jo khud nahin karte woh hidaayat na karenge

- Faiz Ahmed Faiz

Popular Posts