Sab Khwab Muqammal nahin hote by Ahmed Faraz
Aisa hai ke sab khwab muqammal nahin hote,
Jo aaj hote hain magar kal nahin hote,
Andar ki fazaon ke karishme bhi ajab hain,
Menh tuut ke barse bhi to badal nahin hote,
(*menh-blizzard)
Kuch mushkilen aisi hain ke asaan nahin hotin,
Kuch aese muamlay hain kabhi hal nahin hote,
Shaistagi-e-gham ke sabab ankhon ke
sehraa,
Namnak to ho jaate hain jal-thal nahin hote,
Kese hi talatum hon magar qulzum-e-jan main,
Kuch yaad jazeere hain ke ojhal nahin hote,
Ushaq ke manind kayi ehl-e-havas bhi,
Pagal to nazar aate hain pagal nahin hote,
Sab khawhishen puri hon faraz aesa nahin hai,
Jaise keyi ashaar mukammal nahin hote....
- Ahmed Faraz