Ahista Ahista

Khule gi us nazar pe chashm-e-tar ahista ahista,
Kiya jata hai paani main safar ahista
ahista,

Koi zanjeer phir wapas wahin par le ke ati hai,
KaThin ho raah to chuTTta hai ghar ahista ahista,

Badal dena hai rasta yah kahin pr beth jana hai,
Ke thakta ja raha hai hamsafar ahista
ahista,

Khalish ke sath is dil se na meri jaan nikal jaye,
Khinche teer-e-shanasayi magar ahista
ahista,

Havaa se sar-kashi main phool ka apna ziyaan dekha,
So jhukta ja raha hai ab yeh sar ahista
ahista...

- Parveen Shakeer

Popular Posts