Uth ke kapde badal, ghar se bahar nikal, jo hua so hua

Uth ke kapde badal, ghar se bahar nikal, jo hua so hua
Raat ke baad din, aaj ke baad kal, jo hua so hua

Jab talak saans hai, bhookh hai pyas hai, ye hi itihas hai
Rakh ke kaandhe pe hal, khet ki aur chal, jo hua so hua

Khoon se tar-b-tar, karke har rahgujar, thak chuke janwar
Lakdiyon ki tarah, phir se chulhe mein jal, jo hua so hua

Jo mara kyon mara, jo jala kyon jala, jo luta kyon luta
Muddaton se hain gum, in sawalon ke hal, jo hua so hua

Mandiron mein bhajan, masjidon mein ajaan, aadami hai kahan?
Aadami ke liye ek taza ghazal, jo hua so hua

By Nida Fazli

Popular Posts