Budhe Baloch Ki Nasihat Baite Ko THE ADVICE OF AN OLD BALUCH TO HIS SON

1. Ho Tere Bayaban Ki Hawa Tujh Ko Gawara
Iss Dasht Se Behter Hai Na Dilli Na Bukhara
- Let the air of this wasteland be your happiness,
This jungle may be better than Delhi and Bukhara

2. Jis Simat Mein Chahe Sifat-e-Seel-e-Rawan Chal
Wadi Ye Humari Hai, Woh Sehra Bhi Humara
- wherever you want you can go here,
This mountain is ours and that desert is also ours

3. Ghairat Hai Bari Cheez Jahan-e-Tagg-o-Dou Mein
Pehnati Hai Darvesh Ko Taj-e-Sar-E-Dara
- Self respect is better than the wealth of this world,
It makes a beggar equivalent to Crown of Darius

4. Hasil Kisi Kamil Se Ye Poshida Hunar Kar
Kehte Hain Ke Sheeshe Ko Bana Sakte Hain Khara
-Find the Knowledge of that great art,
By which you can turn glass into hard steel

5. Afrad Ke Hathon Mein Hai Aqwam Ki Taqdeer
Har Fard Hai Millat Ke Muqaddar Ka Sitara
-People holds the future of the Community,
Every person is the star of Nation's destiny

6. Mehroom Raha Doulat-e-Darya Se Woh Ghawwas
Karta Nahin Jo Souhbat-e-Sahil Se Kinara
-That person is away from the wealth of seas,
The one who doesnt risk himself to the shore

7. Deen Hath Se De Kar Agar Azad Ho Millat
Hai Aesi Tajarat Mein Musalman Ka Khasara
-If you have to leave the religion for freedom of nation,
That deal should be a bad one for each and every muslim,

8. Dunya Ko Hai Phir Ma’arka-e-Rooh-o-Badan Paish
Tehzeeb Ne Phir Apne Darindon Ko Ubhara
-World once again is on brink of cutting flesh and souls,
Civilization has once again the raised the monster for it

9. Allah Ko Pa-Mardi-e-Momin Pe Bharosa
Iblees Ko Yourap Ki Machinon Ka Sahara
-Allah believes in the bravery of the Momin(believer)
Satan once again allied himself to the machines of Europe

10.Taqdeer-e-Ummat Kya Hai, Koi Keh Nahin Sakta
Momin Ki Firasat Ho To Kafi Hai Ishara
- Future of community no one can say,
It is better for believer to know signs of change

11. Ikhlas-e-Amal Mang Nayagan-e-Kuhan Se
‘Shahan Che Ajab Gar Banawazand Gada Ra !
- Ask the reward of your deeds from the great,
A king may sometimes smile from the Beggar...

By Allama Iqbal

Comments

  1. Hum Balocho ke baare me Iqbal sahab ne bahot khoob likha hai
    Mashaallah

    ReplyDelete
  2. God bless baloch community. And thanks for support..

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts