Pride of Saifullah

Sirf tu hi nahi rakhta shayari ka hunar,
Kehte hai pehle zamane me koi meer bhi tha,

Sirf tu hi nahi jiske lafz hai taiz tar,
Ghalib ke har sher me ek teer bhi tha,

Sirf tu hi nahi jiske liye hai hasino ka hunar,
Yeh husn kabhi Faraz ke khatir Bhi tha,

Sirf tu hi nahi jisse jalti hai duniya,
Faiz ke sukhan badbakhto ke aakhir bhi tha,

Sirf tera hi nahi kamiyabi ka dastoor,
Iqbal ka har ummat me shakir bhi tha,

Bas ab toh honi chahiye itni hi arzoo,
kahin koi pichhle zamaane me khalid bhi tha.....

By Saifullah.vguj

Comments

Post a Comment

Popular Posts