Shaam ki sarhad by Allama Iqbal

Sham Ki Sarhad Se Rukhsat Hai Woh Rind-e-Lam-Yazil
Rakh Ke Maikhane Ke Sare Qaeede Balaye Taaq

Ye Agar Sach Hai To Hai Kis Darja Ibrat Ka Maqam
Rang Ek Pal Mein Badal Jata Hai Ye Neeli Riwaaq

Hazrat-e-Karzon Ko Ab Fikr-e-Madawa Hai Zaroor
Hukm Baradari Ke Maide Mein Hai Dard-e-La Yutaaq

Wafad Hindustan Se Karte Hain Sir Agha Khan Talab
Kya Ye Chooran Hai Pe-e-Hazm-e-Falasteen-o-Iraq

BY Allama Iqbal

Comments

Popular Posts