Uth ke kapde badal

Uth ke kapde badal, ghar se bahar nikal, Jo hua so hua 
Raat ke baad din, Aaj ke baad kal, jo hua so hua  

Jab talak saans hai, bhookh hai pyas hai, ye hi itihas hai,
Rakh ke kaandhe pe hal, khet ki aur chal, jo hua so hua

Khoon se tar-b-tar, karke har rahgujar, thak chuke janwar
Lakdiyon ki tarah, phir se chulhe mein jal, jo hua so hua 

Jo mara kyon mara, jo jala kyon jala, jo luta kyon luta Muddaton se hain gum, in sawalon ke hal, jo hua so hua

Mandiron mein bhajan, masjidon mein ajaan, aadami hai kahan? 
Aadami ke liye ek taza ghazal, jo hua so hua

Comments

Popular Posts